Maine Poocha Chand Se lyrics is from the movie Abduallh which was released in 1980. The song was composed by R.D.Burman, sung by Mohammad Rafi and the lyrics were written by Anand Bakshi. Mohammad Rafi maine poocha chand se has gained instant popularity among the music lovers and had hit millions of views within the first couple of days of its release. “Maine Poocha Chand Se” video song features Sanjay Khan & Zeenat Amaan.
So, we are very happy to bring you the Maine Poocha Chand Se lyrics in English. This song is romantic.
Album | Abduallah |
Singer | Mohammad Rafi |
Musician | R.D.Burman |
Lyricist | Anand Bakshi |
Maine Poocha Chand Se Lyrics – Mohammad Rafi Lyrics
Maine poocha chand se
Ke dekha hai kahin mere yaar sa haseen
Chand ne kaha chandni ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
Maine poocha chand se
Ke dekha hai kahin mere yaar sa haseen
Chand ne kaha chandni ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
Maine yeh hijaab tera dhoondha..
Har jagah shabaab tera dhoondha
Kaliyon se misaal teri phoochi
Phoolon main jawaab tera dhoondha
Maine poocha baag se falak ho ya zameen
Aisa phool hai kahin
Baag ne kaha har kali ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
Ho.. chaal hai ke mauj ki rawaani
Zulf hai ke raat ki kahaani
Honth hain ke aaine kanval ke
Aankh hai ke maikadon ki rani
Maine poocha jaam se falak ho ya zameen
Aisi mai bhi hai kahin
Jaam ne kaha maikashi ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
Khoobsurati jo tune paayi
Lut gayi khuda ki bas khudaai
Meer ki ghazal kahoon tujhe main
Ya kahoon Khayyam ki rubaai
Maine jo poochun shayaron se
Aisa dil nasheen
Koi sher hai kahin
Shayar kahein shayari ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
Maine poocha chand se
Ke dekha hai kahin mere yaar sa haseen
Chand ne kaha chandni ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Maine poocha chand se
In case, if you want “Maine Poocha Chand Se lyrics in Hindi” or in any other language, please use the Google Translate option in this web page to see the lyrics in your favorite language.